Ye Pal For Papa

by KHAN   May 8, 2010


Dunia me sbse phle dekhi thi
Wo ankhen aapki thi
Jisne har khushi di
Wo dua aapki thi
Aaj lamhe kuch khaas hain
Aapke apne sab aas paas hain
Kuch palo ko samet rha hu
Aapke lie ye likh rha hu

Humne dunia ko na dekha tha
Aapne dikhaya
Kbhi jo hum gire
To aapne sambhala
Wo chahe ho pal ghum k ya khushi k
Aaplo har pal apne saath paya

Mujhe yaad hai wo pal
Jab aapne maths k sums daant kar padhaye they
Socha nai tha us waqt
Aur aaj wohi kaam aye they
Zid kri aapse jis cheez ki
Aapne wo di laakar usi pal
Kabhi ye na kaha k laa denge tmko kal

Har pal ka aapko aitbaar tha
Hum kch ban jaen iska apko intzaar tha
Aapne kbhi maara nahi na rulaya
Par aapki ek nazar ne sbkch smjhaya

Hum teeno to dunia me naye they
Humko layak aapne bnaya
Rishto ki kadra
Aur khuloos bhi aapne sikhaya

Na ki fikr aapne dunia ki
Bas zimmedariyan uthate chale gaye
Jo pal khuda ne diye they aapko khud k lie
Wo palo ko bhi aap hum sb pr lutate chale gaye

Wo ho chote bhai ya ho behan
Aapka sb pr saaya tha
Sbko aapne kaabil kr dia
Apke bina kch na haasil tha

Dunia ki daud me aap aage badh gaye
Khud ka kbhi ek pal na socha
Jab kbhi dunia se mayus hue hum
Ansuon ko hmare aapne pocha

Aapka woe k scooter
Purani yaaden lekar chalta rha
Takleefon ki bheed me bhi
Aapka dimaag chalta rha

Sikha aapse har wqt se ladna
Aapne hi jitna sikhaya
Karma chahe to bhi na kr skenge
Wo saare kaam jinhe aapne karke dikhaya

Aapko khuda har khushi de ye ek dua hai
Mushkil se mila jo aapne paya hai
Dard ka koi naam na ho zndgi mein
Aisa hi khayaal hum sbke dilon me aaya hai

Mummay ka saath aapne dia
Unko pyar bhi itna diya
Ek farz jo hta hai jeevan sathi ka
Wo nibhaya aur kuch badle mein na liya

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments