Khara pani ya aansu

by jyotsna Bisht   Mar 13, 2008


Dil ko chot lagi to aankh bhar aayee hai.
aasma garja to dharti dhadhak aayee hai
aasma roye to kehte hain baarish hoti hai
dil thokar kahye to aankh roti hai
magar socha na kisi ne jab dharti roti hai to kahan girte hai uske aansu, jab dil rota hai to kahan hota hai dard.

kabhi na socha kisi ne kyon hai pani samudra ka khara
kyun hota hai aankh se behta aansu khara.
toh kya smudra gawah hai dharti k dhukon ka, kya uska khara pani deta hai gawahi uske aansuon ki
meri samajh me ye paheli ek uljhan hai, shayad smudra k pani aur dharti me koi bandhan hai.
ho sake toh meri uljhan ko door kar dena
sailab aa jay samudra me kabhi dharti ko itna dukh na dena.

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

  • 16 years ago

    by Marwa

    It will be soo sweet if u tranlate it for us ok
    but i did sorta understand maybe u'd lyk 2 look at my poems called "when it was me"
    keep it up!
    xx...

  • 16 years ago

    by Leah

    Is that like greek or something? or chinese?...i'll go translate it!

  • 16 years ago

    by MEMI

    I want 2 know what langue this is