Teri yaadein

by riddhi sharma   Apr 16, 2013


Jab pehli baar dekha tha to
tera mujhe dekh kar muskurana yaad h
teri itni pyari muskaan dekh kar mera sharmana yaad h

roj ek dusre ko dekh kar
aankhon hi aankhon m batein krna yaad h
mera tujhe dekh kar yun itrana yaad h

yaad h mujhe jab tum doston k samne mujhe apna kaha karte the
teri in pyari si baton ko sunkar mera chup jana yaad h

tumse pehli baar tumhare ghar pe milna yaad h
tujhe dekh kar meri dhadkano ka tej hona yaad h

tera darwaze pe mujhe dekh kar khush hona yaad h
tjhse pehli baar baat kr k tere pyar m khona yaad h

tera mujhe dekh kar kuch bhi na keh pana yaad h
tere dil ki baat samajh kar mera palkein jhukana bhi yaad h

tera mere maan ki har baat samajhna yaad h
meri aankhon m dekh kar tera sab keh jana yaad h

doston ka hme yun chidhana yaad h
tera pehli baar mere itne kareeb ana yaad h

march ki wo raat
tera mujhse pehli baar khul k baat krna yaad h
teri sharmili baatein sun kar mera pyar se hansna yaad h

yaad h mujhe jab tumne mujhse pucha ki kya me kisi ko pasand karti hu
tab tujhse apne dil ki saari baat kehna bhi yaad h

saari raat tujhse pyar bhari baatein krna yaad h
ek pyara sa sapna sach hona yaad h

hmare doston k samne pehli baar tujhse milna yaad h
tera pehli baar mera haath pakadna yaad h

teri har baat apni sar-aankon par rakhna yaad h
tera hal pal mere chehre par muskaan rakhna yaad h

tera wo pehla geet yaad h
mera tujhe dekh kar wo geet gungunana yaad h

tera mujhse hazar waade karna yaad h
tera wo har wada nibhana yaad h

yaad h mujhe jab me subha bhane bnakar tujhse milne aya karti thi
tujhe tab sharmata dekh kar duniya k samne tera haath pakad kar chalna yaad h

tera apne doston se chup kar mujhse milna yaad h
college canteen k pas baithkar tujhe apni bahin m lena yaad h

tere doston ka hme dekh kar wo majak wala reaction yaad h
tere bhai ki pagalpanti yaad h

yaad h mujhe jab tune apna haath mere haath m diya tha
teri bahon m aa kar hmesha tera saath dene ka wada karna bhi yaad h

un halki khumariyon ka parwan par chadhna yaad h
teri mohobat m kuch is tarah jalna yaad h

chori chipe tere ghar par tujhse milna yaad h
tujhe apni bahon m lekar is duniya ko bhulna yaad h

teri pyari si aankhon m dubna yaad h
tere kareeb aa kar tere dil ki dhadkan mehsoos karna bhi yaad h

tera mujhe itna pyar karna yaad h
tujhe khone k darr se mera teri bahon m rona yaad h

tujhse raat raat bhar baatein krna yaad h
tujhse apne din ki shuruaat krna bhi yaad h

yaad h mujhe jab mere liye tumhari in pyari si aankhon m aansu the
tumhe is tarh dekh kar mera tuttna bhi yaad h

hum dono ka majboor hona yaad h
tera mujhse yun dur hona yaad h

tera mere sapno m aana yaad h
har pal yun tadpana yaad h

us khuda ki rehmat bhi yaad h
tujhse mili har khushi yaad h

teri yaadon ka mujhe tadpana yaad h
ek din achanak tera mujhe chodkar chale jane yaad h

yaad h mujhe tumne kaha tha k ye pyar bhara rishta shayad ek din todna hoga lekin dosti ka saath hoga

magar tera palat k wo dosti bhi na nibhana yaad h

teri har ek baat yaad h
iss dil m aj bhi bas ek hi fariyaad h

bas tum mil jao hme
ek yahi aas h..........!

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

  • 10 years ago

    by Aditya

    That's amazing, 10/5 if i could give it its so good,i dunno what to say just amazing truly amazing...
    wish i could write like this in hindi, you can be a lyric writer...just keep writing more n more

  • 11 years ago

    by Sidh Swabhav

    Loving poem by a truly Loving Girl

  • 11 years ago

    by End Of Eternity

    Heartbreaking with a promise/hope to unite again...nicely done.

    all the best & take care

  • 11 years ago

    by Jyoti Rawat

    Good Love story.
    I like it

More Poems By riddhi sharma