Kambakht Hawa Ka Jhokha!!!

by Shanoo   Feb 28, 2008


Inspired by Gulzar Sahab...heard his 2 lines from d movie Raincoat and wrote it all.This was in year 2006....

Na din hota hai na raat..
Na jane wo kaunse mausam ka jhoka aaya tha..
Jo is deevar par tangi tasveer tedi kar gaya..

Hawa chali, shayad aandhi thi..
Phir ek aawaz aayi..
Dekha to patte jhad chuke the..
Jado ko seja, ki tahni ke gulabi phoolo ka guldasta banaenge,
Kise pata tha sukhe patte phool nahi dete..
Na jane wo kaunse mausam ka jhoka aaya tha..
Jo is deevar par tangi tasveer tedi kar gaya..

Roka to tha, door tak aawaz bhi lagayi thi..
Par yeh hawa kisiki sagi hai..?
Na naam pucha naa pata, bas chal di jaha jana th..
Shayad kahi aur patte girane the...yah phool khilane honge..?
Intezar to maine bhi bohot kiya tha..
Par baarish nahi aayi..
Bijli girne ki aawaz to aayi thi..
Par shayad wo koi aur des tha..
Na jane wo kaunse mausam ka jhoka aaya tha..
Jo is deevar par tangi tasveer tedi kar gaya..

Kisine darwaza khatkhataya hai..!!
Umeed hai ki kahi wo to nahi??
Lekin itni raat gaye??
Nahi shayad koi raasta bhatak gaya hoga..
Dhat ! yaha to koi nahi..
Hawa hi hogi jise meri yaad fir aayi hogi..
Tabhi to aaj raat baarish nahi hui..
Par kaajal zaroor baha tha..
Yeh boonde bhi kisiki jaagir kaha?
Jab ji chahta hai chali aati hai..
Yaha to na din hota hai naa raat..
Na jane wo kaunse mausam ka jhoka aaya tha..
Jo is deevar par tangi tasveer tedi kar gaya..

Hawa mein saundhi saundhi khushbu si hai..
Lagta hai aas paas hi kahi saawan aaya hai..
Nazarein ghuma kar dekho to..
Arre yeh to lehar hi hai...jo unki mahak baho mein liye fir rahi hai..
Baho mein to meri bhi wo ,kher chodo..
Wo to na jane kaunse mausam ka jhoka aaya tha
Jo is deevar par tangi tasveer tedi kar gaya..

Jaado mein taare kahi chup gaye hain..
Shayad raat ki god mein dubak gaye hain..
Yeh bhavre bhi kahi kho se gaye hain..
Nahi wo to waha phoolo ko choom rahe hain..
Sard hawaein jo chal rahi hain..
Mann karta hai bas yuhi ghanto aag jala kar bethe rahe..
Par yeh aag mere liye kab tak jalegi..
Aakhir wo bhi sona chahti hai..
Na jane wo kaunse mausam ka jhoka aaya tha..
Jo is deevar par tangi tasveer tedi kar gaya...

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments