Jeevan Ya Bhram

by Shanoo   May 27, 2008


Ek bhram mein jivan bitane se achha hai,
ya to apni soch ki dishayein badal do,
na kar sako to aise bhramit path, aisi bhramit deh ko tyaag do.

Rituo ke anand ko dekh,
unki sthirta ki chyeshta karna murkhta hai.
Kshitij par halki koi chhaya dekh use paane ki aasha karna murkhta hai.
Marusthal mein jal ki marichika ko satya maanana bhi murkhta ka parichay deta hai.

Parantu aisi maayawik maansik deewaro ko girana koi saral kaam bhi to nahi.
Sada jin vivechnao mein swayam ko lipt paya,
aaj achanak mithya ka roop le bethi.

Dikhawa karke kab tak man ko bahalaoge.
Man ki chanchalta ke sath kab tak chal kar paoge.
Is kuntha, is antardwand ko man se nikalo.
Is man mein khojne jaisa ya vishleshan karne jaisa kuch shesh nahi hai.
In sabhi rahasyon se tum parichit ho.

Is neele aakash se aatmiyata ki koi apeksha nahi hai ab.
Bhram ke sabhi parde swayam hi anavaran kar rahe hain.
Dekho yah savera kuch aur kah raha hai.
Iski vaani mein wah apanapan to nahi,
kintu koi chhalaava bhi nahi hai.

Agar ab bhi yah asmanjas samapt nahi kar pae ho to,
is navoday ke sath bhram ki peti ko bandhkar vilag kar do,
aur jeena sikho.
kyoki yah jivan tumhara hai!!!

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments