Pyar !

by KHAN   May 7, 2008


Barfili vadiyon
mei andekhe raasto mei sharmati hui....
Kitni akeli raat hai
kahin dur jaati hui......
Paani ki chadaron se sharmata hua ....jab maazi pas aya ....sagar ne kaha
Barso ki pyas apni bundon se bujha.....
Haan humne pyar kiya......

Shakhon pe khil rahe hain....
Kache din aur aahatein
Dekho kal ke liye...
Milti nahin hai zindagi kabhi do pal ke lie.....
Waqt ki chadaron se sharmata hua ...jab manzar saath aya....to lamhon ne kaha....
Barson ki pyas apni yaadon se bujha .....
Haan humne pyar kiya.....

Pani ki chadaron se sharmata hua
Jab saahil paas aya maujon ne kaha
Barso ki pyas apne maazi se bujha.....
Haan humne pyar kiya .....haan humne pyar kiya

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments